adrishya kyun ho

adrishya kyun ho
na samajh pata hu main

meri kshamata tumhare aanklan se kahin kam hai
ya yun samajh lo ki ab main thak gaya hu
na aastha hai
na bacha hai koi tark
ab bhi adrishay kyun ho
na samajh pata hu main

koi lapete chadar me ghoom raha tha
kuch na tasveer laga rakhi hai
main chaah ke bhi nahi kehta
ki unki baten man ko atpati si lagti hain
na aastha hai
na bacha hai koi tark


apne apne alag alag raag hain
kuch prashna
aur kuch vihaar aate hain
socha tha tum miloge to kahunga
apratayksha,
aur jaise dhake hue ..asatya ke avaran me
tumhe dhoondho bhi to kahan
sach kehta hu
meri kshamata tumhare aankal se kahin kam hai
ab bhi adrishya kyun ho
na samajh paata hu main


Comments

Anonymous said…
Bhaai saab likha to achha hai...
But why all this negative tone?
Keshav said…
negative tone kyunki duniya banane wale pe gussa aata hai kabhi kabhi

Popular Posts