Na jane kisne


Na jaane kis ne
muh pe syahi pot di
Aur Achanak
sabko wah nazar aane laga

Itna dhyaan
Itna dhyaan
 to uske saaf chehre par
bhi na deta tha koi

Ab uske lekho me
Samalochakon ko milne lagi dhaar
Ab uske vichaar
 par hone laga vichaar

Achha khaasa
mashhoor ho gaya

Kise yaad ki yeh sab
 paison ki lalach me hua tha

Warna jahan khud ka sach sunne ki fursat na ho
Wahan doosron ka jhut kaun bolta hai....



Comments

Popular Posts