narangi aur syaah


doobti shaam me  kuch nazar aata hai
jaise koi neeche utar aata hai

timtimate hue diye deekh padte hain
jalte khwabon ka koi sheher aata hai

khidkiyon se jhaank ab dikhe bhi to kya
na koi musafir idhar aata hai

lete lete socha need aayegi
par aankhon ko sab kuch nazar aata hai

lahron se batien karne ka man tha
koi jane kyun fir saher aata hai

doob jayen is samandar me lekin
doobti shaam me kuch nazar aata hai

Comments

Popular Posts