Rabad ka tukda

 Kabhi kabhi bas Yun hi

Safai ka bhoot chadh jata hai

Khola drawer

To usme ek pencil box tha

Waise to tha Khali hi 

Bacha tha kuch to

 ek ghisa hua rabar ka tukda. 


Fekne ke liye 

Box ko bahar hi rakh diya


Par man 

Jo chalta hai utli hi disha me

yaad karne laga 

Kahan dekha tha aakhri baar us rubber ke tukde ko


Saalon purani baat hogi

Tab pencil chod 

Pen ka haath thaam liya tha

Yaad aaya, Sir ji ne kaha tha

" ab se galtiyan mitai na ja sakengi..."

Aur rabad ki zarurat

 Kam 

Aur kam hi padti , to naya kaun khareede.


Aur fir, ek ke baad ek

School ki yaadein

Chalne lagi dimagi tv par


Ab woh rabad ka tukda

Acha lag raha tha

Aur rakh diya use pencil box ke andar

Aur fir se drawer ki shobha badha badhane

Laga.


Kabhi kabhi sochata hun 

"Kaash

 sach me hota koi aisa rubber ka tukda

Jo galtiyan mita sake"


Comments

Popular Posts